Mere Khayaal
___________________________________________________________________________
nayi tasweer nayi kahaani, tukde hain to kya, par hain dil ki jubaani,
tum nahi to kya, tum ho bhi to kya, ban chuki hai, ab yeh meri kaahani,
dhool mein tapta hun, phoolon mein mehek dhoondta hun,
kyun tere dard diye palon ko, main ab bhi sanjhon ke rakhta hun.

vineet kumar Sharma
___________________________________________________________________________
wishwaas toot raha hai, bharosa chooth raha hai,
har baar manzil tak la kar, kyun tu manzil aur door kar raha hai,
kitney aur imtahaan lega, kitney aur raastey katwayega,
tujhpar bharosa hai yeh kab tak aye khuda tu kab tak parkheyga.
har baar manzil tak la kar, kyun tu manzil aur door kar raha hai,
kitney aur imtahaan lega, kitney aur raastey katwayega,
tujhpar bharosa hai yeh kab tak aye khuda tu kab tak parkheyga.
vineet kumar Sharma
___________________________________________________________________________
main ruka tha , main thama tha, maine intazaar kiya tha,
palat kar bhi dekha, ruk kar bhi socha, tum aaoygi yeh yakeen tha,
ret hateliyon si sarakti hai waise waqt guzar raha tha, par main wahin tha,
kuch haath na aya, bachi zindagi ke pal bhi tere aas mein pighla aya..main wahi tha..main thama tha....
palat kar bhi dekha, ruk kar bhi socha, tum aaoygi yeh yakeen tha,
ret hateliyon si sarakti hai waise waqt guzar raha tha, par main wahin tha,
kuch haath na aya, bachi zindagi ke pal bhi tere aas mein pighla aya..main wahi tha..main thama tha....
vineet kumar Sharma
___________________________________________________________________________
chot se pehle marham laga di hoti to dard ka tazurba na hota......
maut se pehle aagayi tu hoti to yeh mera , to yeh mera janaja na hota............

vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
khoobsoorti ka raaz ab koi besan ka paste nahi,
chehra pe lagati hain woh badiya cream, sasti nahi,
lagna hai sabse sundar, is hood mein lagi hain agey peechey nahi,
kahin chook na jaye taj, milney se inhey, kisi aur ko nahi.
chehra pe lagati hain woh badiya cream, sasti nahi,
lagna hai sabse sundar, is hood mein lagi hain agey peechey nahi,
kahin chook na jaye taj, milney se inhey, kisi aur ko nahi.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
mitti ke gullak se kuch paise tod kar nikala kartey they,
khwaishon ko aaj hum credit card se pura kartey hain,
woh zamaana aur thab jab bacchey ko maa kok se paalti thi,
aaj har ghar mein powder doodh ki siyasat chalti hain,
kabhi plastic ki gudiyan aur kaath ke khilon hotey they,
aaj ipod, playhouse aur playstation se bacchey kheltey hain.
khwaishon ko aaj hum credit card se pura kartey hain,
woh zamaana aur thab jab bacchey ko maa kok se paalti thi,
aaj har ghar mein powder doodh ki siyasat chalti hain,
kabhi plastic ki gudiyan aur kaath ke khilon hotey they,
aaj ipod, playhouse aur playstation se bacchey kheltey hain.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
aaj ka din ek nayi khushi layega, yeh yakin nahi wishawaas hai,
fir ek lehar umeedon ki daud jayengi dil se aankhon tak, yeh wishwaas hai,
samaye ho aya hai ek fer badal ka, par behtari ke liye,
sab kuch aaj badal jayega, dard tham jayega mujhe dene khushi ke liye.
fir ek lehar umeedon ki daud jayengi dil se aankhon tak, yeh wishwaas hai,
samaye ho aya hai ek fer badal ka, par behtari ke liye,
sab kuch aaj badal jayega, dard tham jayega mujhe dene khushi ke liye.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
kyun har baar mujhe hi chuntey ho mere malik,
kyun har manzil tak la kar thukra de to ho malik,
kab tak yeh daur yunhi katega, dard se ab chubhan bhi nahi hoti,
kat jayega yeh bhi pal, par tere akhri faisley ki bas bachi umeed hai malik.
kyun har manzil tak la kar thukra de to ho malik,
kab tak yeh daur yunhi katega, dard se ab chubhan bhi nahi hoti,
kat jayega yeh bhi pal, par tere akhri faisley ki bas bachi umeed hai malik.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
aaj fir ek neta ne li hai kasam desh ko UNNATI ke rastey le janeyki
yani desh jayega bhand mein dugni speed se yahi hai taiyaari netaji ki
thoda bahut to chodd dunga main lootunga nahi yeh desh puraa
kehat hai netaji ki choron ka chori karney ka andaz bhi sacchai se hai bhara puraa.
vineet kumar sharma
yani desh jayega bhand mein dugni speed se yahi hai taiyaari netaji ki
thoda bahut to chodd dunga main lootunga nahi yeh desh puraa
kehat hai netaji ki choron ka chori karney ka andaz bhi sacchai se hai bhara puraa.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
his time of the day brings back memories i hate to recall,
for they make me feel what i am today and the reason for my fall,
destiny always gives u what u run far off from,

what matters is not the fight but the reason to live on and on....
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
soch kar english main jo likhney baitha, to i was a little confused,
thi bahut si soch par dil was searching for its latitude and longitude,
kyun baar baar sochna padta hai, y not poems apney aap banta hai,
kahan se shabd aur meaning ata hai, aur kaisa koi shairi banata hai,
maine socha aukaat mein rehna hi shayad behtar hoga,
apni kalam ko angrezi nahi hindi sikhana hi JUSTICE hoga.
kyun baar baar sochna padta hai, y not poems apney aap banta hai,
kahan se shabd aur meaning ata hai, aur kaisa koi shairi banata hai,
maine socha aukaat mein rehna hi shayad behtar hoga,
apni kalam ko angrezi nahi hindi sikhana hi JUSTICE hoga.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
andhera ujale se kehta hai kyun mere janey ki rah takte ho,
kyun nahi tum puri tarah mujhme baste ho,
teri shakl ko dekh kar sab darr jatey hain,
par fir ujala hoga yeh soch kar khush ho jatey hain,
main tujhme kya basun, tuto mujh mein samaya hai,
hai ujala maujood isiliye log andhere ke mainey samajhtey hai.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
bus ab main theher jana chahtha hun,
ab main ruk jana chahtha hun,
ab main kuch aur nahi bus unhe ek baar bus ek baar dekhna chahtha hun,
akhri kuch pal bachey hain mere paas,
unhe main teri yaad mein nahi tere saath bitana chahtha hun, main ab
theher jana chatha hun.
theher jana chatha hun.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
khokle shabdon ko sun sun kar thak gaya hun,
netaoon ki acting se ab main, aam hindustani, pak gaya hun,
kuch to karo, sirf kaho mat, thoda to lao development,
ab main is dhokadadi se hogaya hun completely arrogant,
ab kadam shayad mujhe hi badhana hoga,
pura desh nahi to apna mohalla hi bachana hoga,
kyun rahun main kisi aur par yun dependent,
yeh mera to desh hai, par netaaon ka hai business management.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
pedon ke patton se pucha to kehne lage hawa mein yeh taazgi kaisi hai,
hawa se pucha to kehne lagi fiza mein yeh rawaangi kaisi hai,
hum ne fiza se kiya sawaaal to kehni lagi yeh khushboo kehti hai tere dil ka haal,
bhul baithe tere soch mein itni rawaangi hai to tujhse milne mar kya hoga inka haal.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
UN aasoon ka kya jo tujhe dekhte hi beh gaye,
kaha to hota ke pyar nahi ham khud katleaam ho gaye hotey,
yunhi akele chod diya tanha is bazzzar ki bheed mein,
ehsaas bhi hota to hum tujhse ru baru hi nah hue hotey.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
wahan tak to tera saath mila par jab manzil pahunchi to saath na mila,
yun manzil ke pehle diya dhoka, dhoka bhi mila to yaar ke haathon hi mila.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
soch par duniya kayam hai,
soch hai to iccha hai iccha hai to junoon hai,
jo junoon hai to karm hai karm hai to kuch bura kuch bhala hai,
jo bura hai to bhale ke ahemiyaat hai, soch par hi duniya kayam hai.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
tujhe kabool na bhi ho to hum jubaan pe sirf tere naam se saanse bharengey,
gaur talab hai ki hum khamoshi mein hi sahi apni har baat mein tera nam naam kahengey.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
khuskismat woh nahi jinke hathon ki lakeeren acchi hoti hain,
kismat to unki bhi hoti hai jinkey haath nahi hotey hain.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
kubool ho dhuan ka andhera to akelepan se pyaar karlena,
ho jo hamse ab bhi chahat to bus ek baar palak jhuka lena.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
hamney udtey panchiyoon se pucha teri manzil kya hai,
usney hame woh aasman dikhaya jo hamney dekha nahi tha,
dil ne kaha manzil to jaroor hai par raaste se ghabrana nahi,
manzil milti bhi jaroor hai bus apney jasbey ko raaste par hi khona nahi.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
tumney kalam thami to mano sama tham gaya,
in shabdon ko behney do. ek zamana beet gaya,
dard labz ban kar bahar aney do us berang dil se,
tumhe dard ke bagair dekhe ek zamana beet gaya,
deewaron se keh do udaasi ka daman na thamen,
un deewaron ko muskurate dekhe ek zamana beet gaya.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
dekh kar fir aaj ek chehra aainey mein, yaad teri aagayi,
chehra tha to mera, aankhon mein nami teri yaad dila gayi,
ek ek katra tujhe aaj bhi har oor dhundta hai,
tu ojhal ho kar bhi in aankhon mein nami bankar sama gayi.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
rahat hai sukoon bhi hai aur saath thoda aaram bhi hai,
yahi dost reh jatey hain jab aap har kisi ko bin wajah pyar karte hain,
kyun rakhna gila aur sikwa kisi se kyun rehna naaraz kisi se,
zindagi sukun bhari ban jayegi apki agar aap bhi is raah pe chal rahe hain,
na kal pe is baat ko taaliye naa raah kisi aur waqt ki kijiye,
har kisi ko tahe dil se pyaar baatne ki shuruwaat aaj aur isi waqt se kijiye
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
bahut der lagi aaj fir shaam honey mein,
bahut der lagi aaj fir ghar aney mein,
bahut der lagi usey bhulaney mein,
bahut der lagi in shabdon ko jod paney mein,
do ghoont mein sab kuch bhool to jata hun,
kambakhat nasha utartey hi fir tere makhbare pe chal deta hun,
jeeney ki aur khwaish ko koi iccha to nai,
tere makhbarey ke paas main zameen apni naam ki dhundta hun.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
us pet se poocho jisney roti chakhi na ho ke swaad kya hai,
us maa se poocho jiskey bacche ne doodh dekha na ho ke swaad kya hai,
hum yunhi waqt be waqt khaney ke swaad pe jhagadte hain,
ek woh hain jo do daaney ko apna bhag samajhte hain,
agli baar ek bhi niwaala fenkoo to us bhookey ke pet ko yaad karma,
na kha sako beswaad khana to kisi bhookey ko TUM yaad karma.
vineet kumar sharma (please do not waste food)
___________________________________________________________________________
yunhi koi akela mehsoos nahi karta,
yunhi koi raat ke andhere ko saathi nahi kehta,
kuch hai jo dil mein adhoora sa lagta hai,
yunhi koi zindagi ki har saans akhri samajh kar nahi leta...
ek baar kash woh hota jo dil mein hota hai,
par kya woh sahi hota jo nahi hota hai???
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
sawayal aaj desh hai neta ya samudaye ka nahi,
khayal aaj tarakki ka hai,jati ya dharma ka nahi,
tumney hame loota hai woh gam ke dairee ki baat nahi,
tumhe desh saunpa hai, yeh tumhari jageer nahi,
utho apna zameer jagao aur kuch karkey hame dikhao,
tumse sirf mutthi bhar khushi mangi hai, kuch aur nahi,
ho sake to isey apna samjhna, sirf ek kursi nahi,
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
un khusyion se kahan wasta jo hamne bahut pehle tere waste chod di thin,
par jikr aaj bhi hota hai to naam tujhse hamara judjata hai-
salamat raho haath utha kar us RAB se yahi kehte rahengey,
tum bhi dua karney ke kabil bano labz yahi umeed karengey,
kyun tera saath thama zamaney ko chod kar,
dastoor pe khob kayam raha ...mera yaar manzil ke pehle saath chod kar
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
hame lautna mein thodi deer lagi, sakii tu botal ka kasoor na samjhna,
gam hi kambakhat itna mitha hogaya hai tu hame dard mein na samjhna,
gustakhi ki hai to zindagi ka daman nahi chodegengey,
ham woh nahi jo manzil ke hi pehle himmat todengey.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
kuch bhi likhna chatha nahi main aaj,
kuch bhi kehna chatha nahi main aaj,
kalam ne bhi dhoka de diya,
jab sahi ki jaroort padi to kalam ne bhi saath chod diya.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
kuch likhna nahi chatha par shbad ruktey nahi hain,
kuch kehna chatha nahi, par ask rukte nahi hain,
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
na khushbu hi hai tere diye phoolon mein bachin,
na yaadein hain ab hamare dil mein bachin,
bus kuch bikhrey hue se phool hain,
zinhe batorta hun har pal main,
inhi phoolon ko zinda kar zindagi ke maiyney dhoond lunga,
teri yaadon ko main dafnakey, ek aur wajah jeene ki dhoond lunga.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
na main kisi ka na koi mera, bus khwaab hain jo hain mere,
yeh woh hain jo har waqt hain, main hun akela ya ho koi saath mere,
apni zindagi is tarah jeena ke har pal tera ho tu yunhi jeena,
ho koi bhi kami tu khush rehna na ho koi khwaab tu fir bhi jeena,
hai woh khuda tera bhi tujhe bhi pal dega khushi ke,
sabrr jo tu... rakkhe ga khushi jo tu banntenga ho ga tabhi sakaar tera jeena ...
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
kal tak tere saath zindagi dekhi thi maine,
kal tak tujhe zindagi kaha tha maine,
aaj mere zindagi ko tune kal bana diya,
jeena to door tuney marney bhi mera nakaam bana diya.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
kisi ki juthan kisi ke ek waqt ka khana hota hai,
kisi ke chuleh ki raakh kisi ke bartanon ko saaf karne ka saaman hota hai,
koi apney waqt mein kisi ka sahara banna chatha nahi,
har kisi ke zindagi mein waqt alag alag chehrey dikhata hai,
soch kar thukrana kisi ko, waqt tera bhi ayega,
aaj woh juthan khata hai kal kya ...pata waqt tujhe wahi waqt dikhayega...
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
kitney aur mauke den tujhe har mauka tere liye ek nayi wajah bangaya hame daga dene ka,
yun na aur imtehaan le sabrr ka kahin khtamm na karden yeh rishta barson ka,
ik baar soch to liya hota tuney apni har ada ko anjaam tak pahunchaney ke pehle,
kya zindagi katna manzoor hai tujhe umrr bhar yunhi tanha akele –
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
un nakamiyon se hum rishtey nahi gintey jo hamarey khushiyon mein saath rehte hain,
kaha to unko apna hamney jisney aason ko hamrey apni palkon se gina hai-
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
bhikrey shabdon ko jodta hun to shabdon ko maiynee mil jaten hai,
is jod tod karne se log hame shayar kehkar chale jatey hai.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
samasye rehtey waqt aapko kayi baar doosra mauka deta hai,
us mauka ka kya fayda jo apse har waqt aur samaye cheen leta hai-
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
raat bhar is soch mein kat gayi ki woh taarey hotey kahan hain jo rang badaltey hai,
kya woh us paar hain jahan mujhe pahunchney mein abhi waqt hai,
kya unkey badalte rangon mein chupe koi khwab hai,
ya mere har adhhorey sapnon ki tarah yeh badalte rang ka khwab bhi adhoora hai.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
Do zindagi tab tak judi rehtin hain jab tak hum- ka naam samney rehta hai,
Pyar us waqt main- par aakar ruk jata hai jab hum- ke saath umeedon ka dayra bandh jata hai,
Yeh gaurtalab hai ke hum- unse ruswa nahi hain, bus kuch aur kuch aur chathey hain,
Isii kuch aur kuch aur mein hum bhool kar apney pyar ki umrr kam kar baithey hain.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
fir ek umeed ki kiran kahin door se apna rookh meri oor mod rahi hai,
is baar yakeen uska raasta mujhpar hi aakar thamega.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
kyun ek darr aur ek khwaish ke liye jeetey ho,
bahut lambi hai zindagi kyun siskion ko humraaz banate ho,
khud ka yakeen khud ke KHUDA par barkarar rakho,
kyun nahi ek khwaish mein tamam zindagi bina khwaish aur dar ke mangte ho.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
there's a huge difference in being poor and being BROKE- BROKE is just a phase- so chill out and still feel cool and RICH(ie))
SOCHTA AJ BHI THA DIL YAD KAR KI TERE SUHAG KE JODE KA RANG LAAL DEKH KAR,
SUKOON HO AYA APNI WAFAPE APNE LAHOO KA RANG SAFED DEKH KAR.
VINEET KUMAR SHARMA
___________________________________________________________________________
SOCHTA AJ BHI THA DIL YAD KAR KI TERE SUHAG KE JODE KA RANG LAAL DEKH KAR,
SUKOON HO AYA APNI WAFAPE APNE LAHOO KA RANG SAFED DEKH KAR.
VINEET KUMAR SHARMA
___________________________________________________________________________
ek soch kehti hai ki aur kuch sochna main chahatha nahi,
par ek chahat yeh kehti hai ki main har sochme ab tujhe sochna chahatha nahi,
bhuladun woh har soch jo tujhse mujhe jodti hai,
yah har bhool ko mitandun jo har soch ki yaad dilati hai.
vineet kumar sharma
__________________________________________________________________________

nazar ka kehna tha ke ab bus karo ham aur zubaan nahin rok sakte,
hamney kaha huzoor nazar ke pyar se ghayal ho gaye, hum dil e haal aur nahi rok sakte-
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
hamney kaha huzoor nazar ke pyar se ghayal ho gaye, hum dil e haal aur nahi rok sakte-
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
bheed mein rehkar bhi tum tanho ho to kuch baat hai jo dil mein kasak de rahi hai,
muskuratey chehrey ke saath aankhen nam hon to kuch baat hai jo kasak de rahi hai:
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
muskuratey chehrey ke saath aankhen nam hon to kuch baat hai jo kasak de rahi hai:
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
tanhai to khud bhi akeli hoti hai ,
hum to khusnaseeb hain ke hamari parchaii to hamarey saath chalti hai
:-) vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
hum to khusnaseeb hain ke hamari parchaii to hamarey saath chalti hai
:-) vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
fir ek raat kat gayi, har baar yahi sochta hun,
kab tak yunhi raha takun yahi sochta hun,
kaun kaun si baat par woh khush hogi yahi sochta hun,
hatheli pe choti hoti umrr ki lakeeron ko takta hun,
fir ek raat kat gayi yahi sochta hun.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
kab tak yunhi raha takun yahi sochta hun,
kaun kaun si baat par woh khush hogi yahi sochta hun,
hatheli pe choti hoti umrr ki lakeeron ko takta hun,
fir ek raat kat gayi yahi sochta hun.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
suboot ke taur pe ek tukda dil ka hamney janaab ko taufe mein bheja tha,
dil ki itni kamzoor hai ki usney doctor ka bill humko bheja tha.

;-( vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
___________________________________________________________________________
auron ki bhul mein hamney apni fitrat dhundni hi chod di thi,
aur yeh bhul gaye ke auron ke khatir to hum bhi aur hain......
tujhe kya main kahun jab main khud daagon se bhara hun,
ik mauka aur mil jaye to main khud ko auron se chura lu.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
aur yeh bhul gaye ke auron ke khatir to hum bhi aur hain......
tujhe kya main kahun jab main khud daagon se bhara hun,
ik mauka aur mil jaye to main khud ko auron se chura lu.
vineet kumar sharma
___________________________________________________________________________
jab ho raat ka andhera to din ka pehra inayat ki awaaz nahi deta,
KHUD khuda bhi bandon ke haath taqdeer ki kalam nahi deta,
salaamat to uski rooh bhi hai jiskey paas haath nahi hotey,
kabrr usey bhi milti hai jiskey paas aap jaise qadardaan nahi hotey.
Vineet Kumar Sharma
___________________________________________________________________________
KHUD khuda bhi bandon ke haath taqdeer ki kalam nahi deta,
salaamat to uski rooh bhi hai jiskey paas haath nahi hotey,
kabrr usey bhi milti hai jiskey paas aap jaise qadardaan nahi hotey.
Vineet Kumar Sharma
___________________________________________________________________________
Is waqt ko hamne kaat kar har waqt beeta hua paya,
aney wale waqt ke intazaar mein har waqt khud ko akela hamne paya,
kuch baatein zindagi ki khud se khud-hi keh dalna jaroori hota hai,
jab sahi waqt ho ta hai, to saaya ka bhi saath har waqt apke saath hota hai.

4 comments:
ye waqt yu hi gujrta hai,
aache accho ki parakh kar leta hai,
aaine main chere kitne khubsurat bana lo,
aaina phir bhi sachai bayan karta hai,
log bhul jaate hai bure waqt ko
badal jaate hai aur samjhte nahi khud ko,
bhai aage ka tu lik dena.....
BAHOT KHUB VINEET JI.......
MAIN AAPSE BAAT KARNA CHAHUNGA JARUR....
aap bahot hi badhiya likhte ho dear...
maine bhi avi nayi blog creat ki hai...
par mujhe avi poora function nhi pata.
agar ap kuchh help kar sakte hai to aur khushi hogi hume..
so contct me..
E-Mail : guddu1222@gmail.com
Blog link : vijaybloghub.blogspot.com
jaroor sair...aur bahut bahut shukriyaa
sandeep sahab:
bahut khoob bahut khoob mere bhai...
yeh un par nirbha karta hain jo khud ko nahi badal paatey,
aainey to har pal ek hi hai, yeh kyun na woh samajh paatey,
na seekha gar tumney beetey jaamaney se, to kal fir wahi badhaali hogi,
kyun na ek pal ke liye, zindagi mein theraao la do, warna fir wahi badhaali hogi...
Post a Comment